Zindagi naam hai gamoon kan aur gam ka naam he ishk hai. Khowabon ke
duniya mein jeenay ka naam ishk hai, bay knara kishty ka naam ishk hai,
ek dukhiya dil ka naam ishk hai, machdhar mein doobty kashtey ka naam
ishk hai, seenay mein machaltay armanoon ka naam ishk hai, darya mein
authtay toofanon ka naam ishk hai, iss dil ky har dard, is dil ke har
khalish ka naam ishk hai. Iss khalish ka andaza sirf unhe ko hota hai
jo apnay app say zeeyada kissi say peyar krtay hain. Iss dil mein ek
chuban hai aur us chuban say honay wale har khatak ka naam ishk hai.
Wahe mahsoose krta hai iss khatak ko jis ky arman muttey ky gharondon
ke tarhan lab-e-sahil bikhar jatay hain, jin ke rah-e-manzil mein he
shaam dhal jaty hai. Illaj-e-dard-e-dil billa dawa ka naam ishk hai,
bikhray hoay dillon ko samatenay ka naam ishk hai, apnay kissy yaar say
gilhay-o-shikway ka naam ishk hai, kissi ky leay hastay hastay jaan
danay ka naam ishk hai, thokar kha ker gar ky sambhalnay ka naam ishk
hai, dil ke machelty in dharknon ka naam ishk hai, kissi ke yaad mein
khud ko bulha danay ka naam ishk hai, aur tanhai ky har chubnay walay
saey ka naam ishk hai, zamanoon ke bheer mein tanhai ka naam ishk hai,
phr keun hum mustishna hain, najanay keun takdeer ny inn moteyon ko
bikhare deya. Mera sawal aj bhe tum say yahe hai ky ay mery dilber,
keun chore dea zindagi ky is sahrah mein mujhay baygana, tore deay na
waday saray, bulha dein na sarey kasmein. Kea tum nay ek bar bhe nahe
sooncha ky thumaray bad mera kea hoga, thumare furkat mein thumare yad
aye to kea hoga. Thumare furkat nay kuch asa haal dekhaya hai ky jahan
apnay bhe bayganay hain, ek ajeeb se khalish hai maan mein, ab to darya
ke ek ek moaj mujh per hasty hai, ab to un lagta hai ky har ek lamha
dil py bulheey bisreey yadoon ke dastak hoty ho, jis say mery yeh rooh
fana honay lagtey hai, phr koe apne se manoos sada mujhay dilasa-e-ishk
datey hai, phr dil ky har zakham say yeh sada aty hai ky aah meray is
dil ko pash pash krnay walay tujhay salam, aay meray roothay meahboob,
tery azmat ko salam. Tum meray paas na sahe, magher thumaray saat
guzara hoa har lamha meray paas yad ke sorat moajood hai. Kea yahe tha
thumara peyar? Kea yahe the thumare wafa? Ay humnasheen, Hum tum he per
martay thay aur tum he per martay rahain gay. Au humnasheen, jab bhe
tumhain meray iss peyar ke tapish ka andaza ho to chalay ana meray
darwazay per, koe thumare yad mein aj bhe deeda-e-purnam wahan batha
hoga,koe thumare raah ab bhe takta hoga, roo roo ky koe aj bhe, apnay
kissi peyaray ko sada dayta hoga, wahan kissi ky gamoon ka geet 
khanakta ho ga, kissi ky peyar ke garmey ab bhe kam na hoe hogy,
wahan koe baygana ab bhe thumare yadoon ky saharay geeta hoga, koe ab
bhe thumaray he naam ka wird krta hoga, kisse ke sansein aj bhe sirf 
thumaray he leay chaltey hoon gein, kissi ka zakham ab bhe rista hoga,
lab-e-sahil sir-e-makthal, koe ab bhe peyasa hoga. Yeh hai peyar ke
sachieay, jo ky lafzon ka mothaj nahe.

BY-

                               ~*~SHAN MEHDI~*~